Monday, September 17, 2007

My New Poem..Rah Ke Pathik...


Well..this is exam time here and my poetry is at its best as usual[hehe]..

Rah Ke Pathik...

O Rah ke pathik,Badhta Ja,
manji dur hai,raste visham,
bhavon ki umadti nadiya hai to,
gahraya hai moh ka bhi tam,
vikaT aise kaal mein,
tu deep dharya ke jalata ja.O Rah ke....

Nit-Nirantar suni hoti in rahon pe,
sathi chhutenge,sangi bichhdenge,
Mat ro,tu jivan path ka rahi hai,
rah rokte is jaal ko,
tu swayam hi suljhata ja.O Rah ke....

Ja puchh himgiri ke us utang shikhar se,
ya puch sagar ki us anchhui gahri kokh se,
kitne akele hain ye,
vishalta ka mulya kya hai,
jante hain ye,
O lakshya ke diwane,
rukna nai,mudna nai,
path ki in suni awajon ko,
manjil se aata soch,chalta ja.O Rah ke....

No comments: